Saturday, March 13, 2010

ek aur kupratha

pichle kai saalon mein kaafi saare mahan purushon ke koshishon ke falswaroop bharat mein naari jaati ke jeevan mein kaafi sudhar aaya hai.kai kureetiyaan khandit ki gayi hain.swami dayanand jaise logon ne dahej pratha, sati jaisi cheezon ko humare samaj se nikala hai aur aaj fir aise hi kuch logon k ek jut hone ki jaroorat hai aur ek aur sadiyon se chali aa rahi kureeti ko khatam karne ki jaroorat hai.yahi wo kureeti hai jo har maa baaap ko apni beti se alag kar deti hai,uss par unka haq kahtam kar deti hai aur ye hai vivah k baad ladki ki vidaayi..
aakhir kyu vivah karke ladki sasural jaaye apne maa baap ko akele chaod kar humesha humesha k liye.kyu???
hum maane ye na maane par shaadi k baad ek ladki se ye ichcha rakhi jati hai ki wo sab kuch bhool kar, apne bachpann ko chod kar rishte naaton ko bhula kar sasural k rang mein rang jaaye..ladka apne kisi rishte ko nahi chodega.aur to aur usko bataya jata hai ki abb ye hi tumhara ghar hai.maayeka paraya ghar hai.apne maa baap ki jimedaari wo nahi utha sakti.unke baare mein sochne ka uska koi adhikaar nahi reh jata.aur to aur agar usko maayeke jaana bhi hai to saas sasur pati sab ki anumati leni hoti hai..aur maayeke se aate samay bhar bhar kars abke liye uphaar laaye ye apeksha ki jati hai.
kya haath lagta hai ek maa baap ke.wo apni bachhi ko ek bete ki tarah padate likhate hian.apni zindagi bhar ki poonji usko samajhte hain,uski padai likhayi k lie apni saari jama poonji khatam kar dete hain aur aakhir mein wo ho jati hai paya dhan..kyun aakhir kyu
kyu ladke se nahi ye ichcha ki jati ki wo apna gahr chode.kyu uska apne maa baap k satah jyada gehra sambandh hai kya?
baaki ladkiyan to isko ek samajh ki reeti samajh kar sweekaar kar leti hain par unn ladkiyon ka kya jo akeli bachchi hain apne ghar ki ya jinka koi bhai nahi hai..unke maa baap to bhudape mein bilkul akele ho jate hain.beti chah kar bhi usko kisi bhi tarah ki sahayate nahi de sakti.jyada se jyada 3-4 mahine mein ek baar jakar unka haalchal pooch kar aa sakti hai..
aap logon ko nahi lagta hai ki ye ek kureeti hai..iska khandan hona chahiye??
sab mein mann mein ye prashn uthna swabhavik hai ki iska upaay kya hai?ghar ladka ladki mein se jo bhi chodega uske maa baak akele ho hi jayenge.aur dono apne maa baap k saath rahe ye mumkin nahi.
iska utaar bilkul theek tareeke se to main bhi nahi dhoond paayi hoon par haan kuch na kuch tareeke paashchatya sanskriti mein mile hain.mujeh america ka ek riwaaj bada bhaya.wahan ladka ladki dono shaadi karke apna alag ghar basate hain.apni khud ki kamayi se.isse ek to unko apni jimedaariyon ka ehsaas hota hai.dossra koi bhi apna gahr nahi chod kar aata.dono apne maata pita par dhyaan de sakte hain.tyohaaron pe ya jab jiske gahr walon ko unki jaroorat ho dono unke paas hote hain..maata pita chahe to bachon k paas aakar reh bhi sakte hain.ismein bas ek dikkat lagti hai ki bachche humesha apne ghar walon k saath nahi hote aur maata pita akela mehsoos kar sakte hain.par ye usse to accha hi hai na jab ki bachhce maa baap ke saath rehet hain aur ghar mein roz jhadge hote hain aur mann mein khatas aa ajti hai.aise mein poora pariwaar kabhi bhi khush nahi reh paata aur ye bas ek baahari dikhawa bann k reh jata hai ki hum saath saath hain.
ye cheez sabke saame laani chahiye aisa mujhe laga aur upaay jo likha hai ye ho sakta hai ki sabko sahi na lage..aap log bhi apne apne upaay rakh sakte hain aur hum sab ek jut hokar ek ladki ke maa baak ka hak unko wapas dila sakte hain

aap sab logon se sahyog ki aasha rakhte hue main iss lekh ko yahin kahtam karti hoon
dhanyawaad
Deepika